Saturday, August 12, 2006

Final Solution - Massacres in India

Shows the absolute brutality of conflict in India which recieves virtually no mainstream press in the United States.

Peace, Propaganda and the Promised Land: Media & the Israel-Palestine Conflict

Peace, Propaganda & the Promised Land provides a striking comparison of U.S. and international media coverage of the crisis in the Middle East, zeroing in on how structural distortions in U.S. coverage have reinforced false perceptions of the Israeli-Palestinian conflict. This pivotal documentary exposes how the foreign policy interests of American political elites--oil, and a need to have a secure military base in the region, among others--work in combination with Israeli public relations strategies to exercise a powerful influence over how news from the region is reported.

Thursday, August 10, 2006

Lebanon ke naam...

ye ladai…
jhoot aur sach ki
ya sach aur sach ki…

tera jhoot…
teri taaqat usse sach banati hai
bas ek tera sach hi sach hai ab
kyunki who tankon aur topon se nikalta hai

aur mera sach…
kaun bolega?
kaise bolega?
kaun sunega unhein?

tumhari bandook ke shor mein
lahuluhan pada hai
tumhari barbarta ke junoon mein
daba pada hai
tumhari lagayee aag ke dhuyen mein
chhup jaata hai jo…
tumhare sipahiyon ki juton tale
raunda ja raha hai,
mera sach


woh sach
mera sach…

haan magar mera sach…
kabhi bachchon ki cheekh banke nikalta hai
maaon ke khushk aankhon se bahta hai
sadkon par lag rahe naaron mein garajta hai
mazloomon ki aahon mein sisakta hai

dabe kuchle jismon ke beech
khoon se latpathh bachchon ke beech
iss mulk ke malbon ke beech
kahin dafan hai mera sach…

apne wujud ke malbe mein dhundhta hun
main
apna sach…

Friday, July 21, 2006

ghazal

Kal ka koi iraada na karein
Behtar hai koi vaada na karein

Tum bhi so-o chaen se roz
Hum bhi khwab dekha na karein

Unse milkar dil kahta hai
Saayon ka peechha na karein

Kal kisne dekha hai dost
Itne paas aaya na karein

Aage zameen pathhrili hai
Dariye ka bharosa na karein

Main musaafir rah-e-ishq
Mujhe aap roka na karein

Darfur

ek shaam, sun raha thha
Darfur ki dil dahlanewali kahaniyan,
Sudan ke ek sahib aaye thhe.

bahas chhid gayee…
Genocide hai, ek khatoon ne kaha
Humanitarian crisis, ek aur awaaz
nahi, nahi… Emergency

Jargons ka taandav
insaaniyat ki chita pe…

ek shaam...

Koi shaam bhi tere saath tanha na raha
Jis taraf bhi gaya, bas tera charcha raha

Tere labon ki daastaan sabhi ke labon par
Tere gesuon mein saara shahar uljha raha

Iss tarah thha noor tera har simt bikhra hua
Chaand bhi aasmaan se bebas takta raha

Har taraf teri hi baatein, tere hi husn ke qisse
Har kooche mein tere naam ka shor barpa raha

Tujhe chhupaye aankhon mein nikla jab ghar se
Har koi badi der tak meri aankhon ko takta raha

ghazal

aise bhi gunaahon se bachiye
ghareebon ki aahon se bachiye

jin raahon par sab chalte hain
un saare raahon se bachiye

jo qasmein khaye khuda ke roz
aise peeron-shaahon se bachiye

kahin aapko khuda na kah dun
aap meri chaahon se bachiye

resham ki zanjeer hain saari
syaah zulf ki panaahon se bachiye

firqaparasti...

tere naam pe kya kya ya rab kahte hain
kuchh log nafrat ko mazhab kahte hain

zahar gholi jaati hai jahaan masoom nason mein
sheikh jee aisi imaarat ko maktab kahte hain

faqat mohabbat ki zabaan to boli humne
phir kyun deewana hamein sab kahte hain

jo qaatil thhe bane baithe hain maseeha
qaatil ko aakhir qaatil kab kahte hain

hamein kahan shauq zamana badalne ka
ghazal to hum yun hi besabab kahte hain

Lebanon, Palestine, Iraq...

Har aah parcham bankar lahrayegi
Har khoon ka qatra hoga inqalaab ek din

Chhatenge barbarta ke ye baadal bhi kabhi
Chamkega falaq par soorkh aftaab ek din

Sajegi ek din mahfil bhi hamari
Gine jayenge sitamgaron ke azaab ek din

Deewarein dol uthengi, gir jayenge mahal
Milenge jab mazloom haath bebaak ek din

Har gali mein shor, har kooche mein goonj
Aise gayenge hum tarana-e-inqalaab ek din

Laazim hai uss subh ka aana ‘Nadim’
Jis subh ke dekhe thhe khwab ek din

Saturday, January 28, 2006

kranti

raah-e-ishq mein aana jaana nahi bhoole
woh inqalab ka nara, woh fasana nahi bhoole

hai dushman bada, taaqat badi, jang badi
aadat purani hai, hum kaam aana nahi bhoole

aashiyan lutta hai hamara har bahaar mein
hum phir bhi khwabon ko sajana nahi bhoole

bas neend se jaagne ki deri hai warna
apne armaanon ko hum jagaana nahi bhoole

hai aaj bhi wahi khoon taaza ragon mein
hum bhagat-o-bismil ka zamana nahi bhoole

hon sitam humpe taari har pal khudai ka
hum phir bhi khuda pe muskurana nahi bhoole

hain aankhein hamari beshak aasmaan ki taraf
zameen se magar apna dostana nahi bhoole