dil ko kyunkar magar ye sawal aata hai
hum soyen to soyen kaise, khwab-e-visaal aata hai
ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai
ek mujassim zere-e-chashm lahrata hai
ek ehsaas jo lahu mein dauda jaata hai
ek nasha jo zehan pe chhata jaata hai
ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…
woh dudhiya si roshni, haye uss badan ka jamaal
rang-o-naqsh-o-taab aur woh bikhre se baal
aankhon ko dhundhlati ada-e-kamaal
ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…
dil kahta hai hosh behosh karun
uss shokh ko apne ham-aghosh karun
pyaar itna karun ki rooh ko madhosh karun
ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…
kaam aajaye ye meri beqaraari ke bas
chha jaye mujhpe woh khumari ke bas
kat jaye un shanon pe raat saari ke bas
ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…
zaanon pe mere woh sar rakh dein ke bas
syaah zulf seene pe bikhra dein ke bas
loriyan gaakar hawayen sula dein ke bas
ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…
badhke rukhsaar ko chum lun ke bas
un lab-e-izhaar ko chum lun ke baas
bebaak tere ishq mein jhum lun ke bas
ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…
ye shauq-e-dil aur ye faasle hamaare
kam na kar dein kahin hausle hamaare
kitni sehraon se guzrenge abhi qaafile hamaare
ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…
aah bharti hai yahan tanhayee meri
dasti hai mujhi ko haye angdai meri
jaan leti hai ab ye be-ikhtiyari meri
ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…
in khwabon ko sajaakar kyun na rakhun
teri yaad seene se lagakar kyun na rakhun
tere naam ka diya jalakar kyun na rakhun
ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…
teri yaad mein jalkar dhuan ho jaoon, aa
khushbu bankar tujhmein rawan ho jaoon, aa
isse pahle ki ishq mein fana ho jaoon, aa
ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…
aa ke bejaan jism ko zindagi mil jaaye
aa ke benoor khayal ko roshni mil jaaye
aa ke ghutti saanson ko taazgi mil jaaye
ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…
aa ke tujhmein khokar saara jahan bhula dun
shauq-e-bahaar kya, shauq-e-samaan bhula dun
aa yun ki muddat ki saari dooriyan bhula dun
ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…
aa ke rooh ko kuchh chain mile, qaraar mile
aa ke bhatke raahi ko manzil ki pukaar mile
aa ke pyaase honton ko bas pyaar hi pyaar mile
ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…
aaj yun mil jayen ke dil ka veeraan khil jaaye
jaise zameen se jhukkar kahin aasmaan mil jaaye
aao milein aise ki do badan, ek jaan mil jaaye…
ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…