Sunday, March 11, 2007

ghazal...

jism faulaad ka, majnu ka jigar rakhte thhe

hum bhi takht-o-taj palatne ka hunar rakhte thhe


koi kya humko roke, koi kyun aansu bahaaye

jo nikle ghar se to seene pe pathhar rakhte thhe


dushwariyan safar ki kyunkar ho mahsoos

hum to manzil pe apni nazar rakhte thhe


rah-e-inqalaab ki shab taareek se thhi rindaan

aankhon mein apni chhupaye khwab-e-sehar rakhte thhe

ae pyaar, tujhe dekh ye khayaal aata hai...

shauq-e-fitna hi sahi, hamein na malaal aata hai

dil ko kyunkar magar ye sawal aata hai

hum soyen to soyen kaise, khwab-e-visaal aata hai

ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai


ek mujassim zere-e-chashm lahrata hai

ek ehsaas jo lahu mein dauda jaata hai

ek nasha jo zehan pe chhata jaata hai

ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…


woh dudhiya si roshni, haye uss badan ka jamaal

rang-o-naqsh-o-taab aur woh bikhre se baal

aankhon ko dhundhlati ada-e-kamaal

ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…


dil kahta hai hosh behosh karun

uss shokh ko apne ham-aghosh karun

pyaar itna karun ki rooh ko madhosh karun

ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…


kaam aajaye ye meri beqaraari ke bas

chha jaye mujhpe woh khumari ke bas

kat jaye un shanon pe raat saari ke bas

ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…


zaanon pe mere woh sar rakh dein ke bas

syaah zulf seene pe bikhra dein ke bas

loriyan gaakar hawayen sula dein ke bas

ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…


badhke rukhsaar ko chum lun ke bas

un lab-e-izhaar ko chum lun ke baas

bebaak tere ishq mein jhum lun ke bas

ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…


ye shauq-e-dil aur ye faasle hamaare

kam na kar dein kahin hausle hamaare

kitni sehraon se guzrenge abhi qaafile hamaare

ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…


aah bharti hai yahan tanhayee meri

dasti hai mujhi ko haye angdai meri

jaan leti hai ab ye be-ikhtiyari meri

ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…


in khwabon ko sajaakar kyun na rakhun

teri yaad seene se lagakar kyun na rakhun

tere naam ka diya jalakar kyun na rakhun

ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…


teri yaad mein jalkar dhuan ho jaoon, aa

khushbu bankar tujhmein rawan ho jaoon, aa

isse pahle ki ishq mein fana ho jaoon, aa

ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…


aa ke bejaan jism ko zindagi mil jaaye

aa ke benoor khayal ko roshni mil jaaye

aa ke ghutti saanson ko taazgi mil jaaye

ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…


aa ke tujhmein khokar saara jahan bhula dun

shauq-e-bahaar kya, shauq-e-samaan bhula dun

aa yun ki muddat ki saari dooriyan bhula dun

ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…


aa ke rooh ko kuchh chain mile, qaraar mile

aa ke bhatke raahi ko manzil ki pukaar mile

aa ke pyaase honton ko bas pyaar hi pyaar mile

ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…


aaj yun mil jayen ke dil ka veeraan khil jaaye

jaise zameen se jhukkar kahin aasmaan mil jaaye

aao milein aise ki do badan, ek jaan mil jaaye…


ae pyaar tujhe dekh ye khayal aata hai…

kya kehna...

husn ka woh aaftaab kya kehna

woh jalwa-e-benaqaab kya kehna


woh mera junoon-e-ishq, aur

woh unka hijaab, kya kehna


mere giraft mein unka hona

haye woh shabab, kya kehna


woh neend un gudaaz baahon ki

wasl ke woh khwab, kya kehna


jiska har warq khushboo mein ho basa

mere haathon mein woh kitaab, kya kehna


woh meri sau minnatein pyaar ki

woh unka bas ek jawab, kya kehna


haye woh larazna unka aaghosh mein

haye woh bechain saans, kya kehna


woh chalna unka balkhate hue

woh qadmon ka hisaab, kya kehna