Friday, July 21, 2006

ghazal

Kal ka koi iraada na karein
Behtar hai koi vaada na karein

Tum bhi so-o chaen se roz
Hum bhi khwab dekha na karein

Unse milkar dil kahta hai
Saayon ka peechha na karein

Kal kisne dekha hai dost
Itne paas aaya na karein

Aage zameen pathhrili hai
Dariye ka bharosa na karein

Main musaafir rah-e-ishq
Mujhe aap roka na karein

Darfur

ek shaam, sun raha thha
Darfur ki dil dahlanewali kahaniyan,
Sudan ke ek sahib aaye thhe.

bahas chhid gayee…
Genocide hai, ek khatoon ne kaha
Humanitarian crisis, ek aur awaaz
nahi, nahi… Emergency

Jargons ka taandav
insaaniyat ki chita pe…

ek shaam...

Koi shaam bhi tere saath tanha na raha
Jis taraf bhi gaya, bas tera charcha raha

Tere labon ki daastaan sabhi ke labon par
Tere gesuon mein saara shahar uljha raha

Iss tarah thha noor tera har simt bikhra hua
Chaand bhi aasmaan se bebas takta raha

Har taraf teri hi baatein, tere hi husn ke qisse
Har kooche mein tere naam ka shor barpa raha

Tujhe chhupaye aankhon mein nikla jab ghar se
Har koi badi der tak meri aankhon ko takta raha

ghazal

aise bhi gunaahon se bachiye
ghareebon ki aahon se bachiye

jin raahon par sab chalte hain
un saare raahon se bachiye

jo qasmein khaye khuda ke roz
aise peeron-shaahon se bachiye

kahin aapko khuda na kah dun
aap meri chaahon se bachiye

resham ki zanjeer hain saari
syaah zulf ki panaahon se bachiye

firqaparasti...

tere naam pe kya kya ya rab kahte hain
kuchh log nafrat ko mazhab kahte hain

zahar gholi jaati hai jahaan masoom nason mein
sheikh jee aisi imaarat ko maktab kahte hain

faqat mohabbat ki zabaan to boli humne
phir kyun deewana hamein sab kahte hain

jo qaatil thhe bane baithe hain maseeha
qaatil ko aakhir qaatil kab kahte hain

hamein kahan shauq zamana badalne ka
ghazal to hum yun hi besabab kahte hain

Lebanon, Palestine, Iraq...

Har aah parcham bankar lahrayegi
Har khoon ka qatra hoga inqalaab ek din

Chhatenge barbarta ke ye baadal bhi kabhi
Chamkega falaq par soorkh aftaab ek din

Sajegi ek din mahfil bhi hamari
Gine jayenge sitamgaron ke azaab ek din

Deewarein dol uthengi, gir jayenge mahal
Milenge jab mazloom haath bebaak ek din

Har gali mein shor, har kooche mein goonj
Aise gayenge hum tarana-e-inqalaab ek din

Laazim hai uss subh ka aana ‘Nadim’
Jis subh ke dekhe thhe khwab ek din